Sunday 10 June 2012

Masoom Boondein...

Sisakte hain, bilakhte hain
Meri aankhon mein jo palte hain
Behte hain paani jaise,
Kehte koi kahani jaise
Meri aankhon mein aankhein moonde-moonde
Palkon par bikhre, jaise oas ki boondein...








Tere haathon ki ungliyon par, kabhi moti jaise
Jab-jab meri sansein hain roti aise
Kabhi shaant se aankhon mein...burf se thande jaise
Kabhi beh jana chahte hain...meri aanhon ke jaise
Kabhi keh jaate hain dil ki baatein poori,
Kabhi jata jate hain meri koi tamanna adhoori...
Kabhi kisi aashaon par, bojh se lagte hain
Kabhi kisi chahaton ko poora sa karte hain...
Kabhi meri aatma ki dhara ko choona chahte hain jaise
Kabhi mere mann ki udaan tak pahunchna chahte hain jaise
Kabhi nirjhar behte hain
Apni hi pehchaan ke liye
Kabhi behte-behte ruk jaate hain
Masoom meri muskan ke liye
Kabhi behte hain toh,
Mere kitne haunslo ko todte hain
Kabhi na jane unjane
Kitne hi rishton ko jodte hain
Kabhi kitni hi tamannaon ko karte hain ravaan,
Kabhi meri tamannaon ke liye baandhate hain sama...
Dhadkano mein kho jate hain
Palkon mein hi so jate hain...
Kabhi meri aankhon ke, sath ye rote hain
Kabhi kitne suljhe toh, kabhi unsuljhe hote hain
Kabhi dhoop se sulagte hain
Kabhi chaaya mein bhi jhulaste hain
Sisakte hain, bilakhte hain
Meri aankhon me ye palte hain...